What is Solidworks | Catia Vs Solidworks
What is Solidworks?
Solidworks Ek solid modeling computer-aided designing (CAD) and computer-aided engineering CAE) software hai. Jise Dassault Systèmes company ne publish kiya tha. yah software Microsoft windows per kam karta hai. Solidworks Mac software system ko support nahin karta hai.
Publisher ke anusar 2 million se jyada engineer aur designer aur 165000 se jyada company solidworks ko 2013 se use kar rahi hai. Company ke anusar financial year 2011-12 mein solidworks ke liye company ka total revenue 483 million dollar tha.
Solidworks Dassault system ke dwara develop Kiya gaya hai. solidworks first time 1 November 1995 ko release hua tha. Ab solidworks ka 2021 SP2.0 version chal raha hai, jo ki 11 January 2021 ko release hua hai. Solidworks per ham (CAD) (CAE) donon prakar ke kam kar sakte hain. Yeh English language mein uplabdh rahata hai.
Solidworks ka Marketplace
Solidworks corporation ne 3.5 million licence ko Puri duniya mein Sale out kar diya hai.
What is SolidWorks software used for?
Agar ham baat Karen Solidworks ham kis field mein use kar sakte hain to Solidworks part modeling, machine designing, and product designing ke liye use Kiya Jata hai. Solidworks ka user-interface bahut simple hota hai.
Ise koi bhi aasani se samajh sakta hai aur use use kar sakta hai. iska use mostly part designing, solid part modelling, machine designing, product designing, mein kiya jata hai.
Solidworks par Aap 2D Sketch se direct 3D modelling kar sakte hain. Solidworks ka bahut simple aur user-friendly interface hai, jo aasani se samajh mein a jata hai. iske Tool aur kaman bahut simple hote hain. jise aap ek hi Baar mein dekh kar samajh sakte hain.
Is Solidworks free?
Solidworks free software nahi hai lekin Dassault system Student ke liye 3 sal tak ka Student licence deta hai. Jisse koi bhi student Solidworks ki official website pa Jaker Download kr Sakta hai.
What is the difference between AutoCAD Vs Solidworks?
- AutoCAD mostly 2D relative kam ke liye use Kiya jata hai. Autodesk a product inventor and fusion 360 3D market mein use Kiya jata hai.
- Jabki solidworks ek 3D relative kam ke liye use Kiya jata hai. Solidworks ka draftsight 2D ki market mein use Kiya jata hai.
- Solidworks Dassault system ka product hai.
- jabki AutoCAD Autodesk company ka product hai.
- Solidworks 1995 mein first time release hua tha,
- jabki AutoCAD 1982 mein first time release hua tha.
- Solidworks per ham parametrics drawing kar sakte hain.
- jabki AutoCAD no-nparametric kam ke liye use Kiya jata hai.
- Solidworks ke andar ham part, Assembly, rendering, kar sakte hain.
- AutoCAD ke andar ham keval import export image ki PDF format mein kam kar sakte hain.
- Solidworks simulation ke liye banaa hai.
- jabki AutoCAD kisi design ko 2D mein kam karne ke liye.
- Solidworks Ke Andar ham CAD, CAE, and life circle management ka Kam Kar sakte hain.
- jabki AutoCAD ki industry mein AutoCAD electrical, and architecture aate Hain.
- Solidworks native extension format .sld hai.
- Jabki AutoCAD ka native extension format .dwg hota hai.
What is the difference between Catia Vs Solidworks?
- Catia Ek computer added three-dimensional interactive application software hai. Catia ka use multi-platform Jaise ki computer aided designing (CAD), computer-aided engineering (CAE), or computer-aided manufacturing (CAM) mein kiya jata hai.
- Solidworks Dekha Jaye to Ek Solid modeling computer-aided designing (CAD) and computer-aided engineering (CAE) program software hai. jo ki similar Kam ke upar and industry designing per Kam Karta hai.
- Solidworks CATIA ka technical competitor Nahin hai. Lekin Solidworks or Catia mein different industry mein alag alag use aur work kiye ja sakta hai.
- Catia ka use architecture design, electrical and mechanical stream mein kiya jata hai.
- Jabki Solidworks ka use Keval Aircraft industry Kiya jata hai.
- Solidworks ke andar calibration features, 2D and 3D conversation, 3D printer and 3D view tools aadi hote Hain.
- Catia mein Advanced surface modeling nahin Hoti.
- Solidworks' main advanced surface features, mid surface planar surface, and extend, freeform, deform, fill surface, aadi ke liye advanced option mil jaate Hain.
- Solidwork ka license 25000 dollars se start hota hai.
- Catia ka license 6000 dollars se start hota hai.
- Solid works ka use architecture design ko chhodkar, design, mechanical, and electrical mein kiya jata hai.
Advantages of Solidworks
- Solidworks ke andar Aap kushalta purvak designing kar sakte hain.
- Solidworks mein parametric model design ka upyog Karna aasan hota hai, jis ka meaning hai ki aap kisi bhi design Ko, kisi bhi label per aasani se modify kar sakte hain.
- Solid work ka user interface bahut user-friendly hai, isse har koi aasani se samajh kar is per kam kar sakta hai.
- Solidworks ki support bahut fast hoti hai.
- Solidworks ko aap 1 se 2 months ke andar complete Sikh sakte hain.
- Solidwork ek 3D designing, parametric design karne ka best software hai.
Thanks for your valuable Response